MANHAJ AS SALAFIYYAH

MANHAJ AS SALAFIYYAH
SALAFI MANHAJJ

Saturday 27 September 2014

BAATIL TAREEQE SE LOGON KA MAAL KHAANE KI HURMAT: (HARAM ZARIYA E AAMDANI KA BAYAN)






 Bismillahirrahmanirraheem

BAATIL TAREEQE SE LOGON KA MAAL KHAANE KI HURMAT: (HARAM ZARIYA E AAMDANI KA BAYAN)


1- Allah Tala Ka Irshad Hai

"Aapas Me Ek Dusre Ka Maal Baatil Tareeqe Se Na Khao"

(Surah Baqarah 188)

2- "Aiy Imaan Walon ! Aapas Me Ek Dusre Ke Maal Baatil Tareeqe Se Na Khao, Len-Den Aapas Ki Raza'mandi Se Hona Chahiye"

(Surah Nisa 29)

HARAM TIJAARAT KE CHAND BUNIYAADI USOOL:

Kitab Wa Sunnat Ke Dalail Aur Ulema Wa Fuqaha Ke Aqwaal Wa Fatawa Ko Pesh E Nazar Rakhte Hue Haram Tijaarat Ke Darj'zel Usool Muqarra Kiye Gaye Hain

1- Har Najas Cheez Ki Tijaarat Haram Hai (Kyonki Uska Khaana Haram Hai Jaise Suwar Ka Ghost Etc)

2- Har Haram Cheez Ki Tijaarat Haram Hai (Jaise Murdaar Wa Khoon Etc)

3- Har Aisi Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jiski Adaayegi Ki Taaqat Na Ho (Jaise Bhaaga Hua Ghulam Etc)

4- Har Aisi Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Bay'ee Aur Mush'tari (Seller Aur Buyer) Ke Nuksaan Par Mush'tamil Ho (Jaise Expiry Dawa Etc)

5- Tijaarat Ki Jis Soorat Me Dhoka Ho Wah Haram Hai (Jaise Paani Me Machhli Ka Sauda Etc)

6- Tijaarat Ki Jis Soorat Me Bhi Fariqain Ki Raza'mandi Na Ho, Wah Haram Hai (Jaise Zabardasti Kuch Bikwaana)

7- Tijaarat Ki Jis Soorat Me Bhi Qaabil Farokht Cheez Ya Qeemat Majhool Ho Haram Hai (Jaise Hamila Ke Hamal Ka Sauda Karna)

8- Har Us Tareeqe Se Tijaarat Haram Hai Jisse Shariat Ne Mana Kiya Hai (Jaise Mahaz Haath Lagakar Sauda Karna)

9- Har Haram Zariye Se Tijaarat Haram Hai (Jaise Zinakari Ke Zariye Maal Kamaana)

10- Har Wah Tijaarat Jo Jue (Speculation) Par Mush'tamil Ho Wah Haram Hai (Jaise Lottery Etc)

11- Har Wah Tijaarat Jo Jumah Ki Azaan Hone Ke Baad Ki Jaaye Wah Haram Hai (Jaise Azaan E Juma Ke Baad Masjid Ke Baahir, Topiyan, Kitaabein, Perfume Aur Miswaak Etc Farokht Karna Ya Apne Karobaar Jaari Rakhna)

12- Jin Ashya Ki Tijaarat Se Shar'an Roka Gaya Hai Unki Tijaarat Haram Hai (Jaise Kutta Billi Etc)

13- Har Us Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Qabza Me Na Ho (Jaise Ek Hi Jagah Padi Hui Cheez Ko Aage Se Bechte Jaana)

14- Har Us Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Jo Gunaah Ka Zariya Ho (Jaise Buzurgaane Deen Ki Murtiyan Aur Tasweer Jo Shirk Ka Zariya Hai)

15- Har Us Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jo Milkiyat Me Na Ho (Jaise Bayanah Par Aage Ghar Farokht Kar Dena Etc)

16- Har Nasha'war Cheez Ki Farokht Haram Hai (Jaise Smack Aur Drugs)

17- Har Aisi Cheez Ki Tijaarat Haram Hai Jisme Kisi Bhi Tarah Ka Sood Ka Dakhal Ho (Jaise 10rs Ke Badle 9 Rs Lena Etc)

Note: Kuch Ulema Ne In Tamam Usoolon Ko Darj'zel 2 Usoolon Me Jama Karne Ki Koshish Ki Hai

1- Har Haram Cheez Ki Tijaarat Haram Hai (Kaise Murdaar, Suwar, But Aur Tamam Najasatein Etc)

2- Har Sood Par Mush'tamal Tijaarat Haram Hai (Jaise 1Rs Ke Badle 2Rs Khareedna Etc)

3- Har Dhoke Par Mush'tamal Tijaarat Haram Hai (Jaise Hawa Me Parinde, Pani Me Machhli, Aur Tamam Majhool Ashya Ki Tijaarat Etc)

Note: Aur Kuch Ulema Ne Haram Tijaarat Ke Sirf 2 Usool Ho Zikr Farmaaye Hain

1- Har Haram Cheez Ki Tijaarat Haram Hai

2- Har Haram Zariye Se Tijaarat Haram Hai,

Mukhtasar Lafzon Me Khilaaf E Sharai Har Karobaar, Tijaarat Aur Khareed Farokht Haram Hai,

Beher'haal Haram Karobaar Ko Samjhne Ke Liye Har Darj'zel 4 Point Pesh E Nazar Rakh Sakte Hain

1- Jin Ashya Ki Tijaarat Haram Hai

2-Tijaarat Ki Chand Na'jayez Sooratein

3- Soodi Tijaarat Aur Len Den

4- Chand Deegar Haram Zariya E Aamdani,

InShaAllah Agle Posts Me Inhi Points Par Guftughu Hogi....


Thursday 25 September 2014

JIN ASHYA KI TIJAARAT HARAM HAI : (PART-1)





Bismillahirrahmanirraheem

JIN ASHYA KI TIJAARAT HARAM HAI : (PART-1)


SHARAB:

Hz Jabir (ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Be'shaq Allah Tala Ne Sharab, Khinzeer Aur Buton Ki Tijaarat Haram Ki Hai"

Kisi Ne Daryaaft Kiya

"Aiy Allah Ke Rasool ! Murdaar Ki Charbi Ke Mutaalliq Kya Huqm Hai ? Isse Qastiyon Ko Polish Kiya Jata Hai Aur Chamdon Ko Chikna Kiya Jaata Hai Aur Log Use Jalakar Roshni Haasil Karte Hain"

Aapne Farmaya:- "Nahin Wah Bhi Haram Hai"

(Arwa Ul Ghaleel 1290, Abu Dawood 3486, Ibn Majah 2167, Tirmizi 1297)

Sharaab Ki Khareed Wa Farokht Karne Wala Ya Use Bechne Wala Ya Use Peene Waala Hi Mujrim Nahin Balke Uske Kaarobaar Ke Saath Kisi Tarah Ka Taalluq Rakhne Waala Laanati Aur Gunaah'gaar Hai,

Chunanche Ek Riwayat Me Hai Ke

"Rasoollullah (Sws) Ne Sharab Ke Silsile Me 10 Aadmion Par Laanat Farmaayi Hai

1- Sharab Nichorne Wala
2-Nichudwaane Wala
3- Peene Wala
4- Uthaane Wala
5- Jiske Paas Uthakar Le Jaayi Jaaye
6- Pilaane Waala
7- Bechne Wala
8- Qeemat Khaane Wala
9- Khareedne Wala
10- Jiske Liye Khareedi Jaaye"

(Sahih Targheb 2357, Gaytul Maram 60, Tirmizi 1290, Ibn Majah 3381)

SHARAB BANAANE WAALE KO ANGOOR WAGERAH KI FAROKHT:

Jaan Bhookhkar Aise Shakhs Ko Angoor Farokht Karna Jo Uski Sharab Banaata Ho, Jayez Nahin,

Agarche Yah Riwayat Zaeef Hai Jisme Us Tijaarat Ki Waazeh Taur Par Hurmat Ka Zikr Hai

(Zaeef Jidan : Gaaytul Maram 62, Silsila Uz Zaeefa 1269, Tibrani 5/294)

Lekin Ye Kaam Gunaah Ke Kaam Me Ta'aawun Ki Wajah Se Hi Haram Hai Jaisa Ke Irshaad Baari Tala Hai

"Aur Gunah Wa Shar'kashi Ke Kaamon Me Ek Dusre Ka Ta'aawun mat Karo"

(Surah Maida 2)

Albatta Agar Yah Ilm Na Ho Ke Khareedne Wala Kya Karna Chaahta Hai Toh Fir Koi Harj Nahin, Sharab Ke Elaawa Deegar Ashya Ka Bhi Yahi Huqm Hoga,

Maslan Aise Shakhs Ko Aslaha (Weapo N) Farokht Karna Haram Hai Jo Usse Na'haq Logon Ko Qatal Karne Ya Chori Aur Daaka'zani Ya Musalmano Ke Khilaaf Ya Kisi Bhi Na'jayez Kaam Ke Liye Istemaal Karna Chaahta Ho, Lekin Agar Yah Ilm Na Ho Toh Fir Kisi Ko Bhi Aslaha Farokht Kiya Ja Sakta Hai,

TAMAM NASHA'AWAR ASHYA KI KHAREED WA FAROKHT:

Chunke Sharab Ki Hurmat Ka Sabab Nasha Hai Isliye Har Wah Cheez Haram Hogi Jisme Nasha Ka Wasf Ho Chaahe Zyada Ho Ya Kam Aur Chaahe Uska Naam Aur Rang Koi Bhi Ho,

Lihaaza Heroine, Charas, Afeem Aur Bhaang Etc Jitni Tamam Nasha'awar Aur Ashya Ki Khareed Farokht Haram Hai,

Qata'nazar Iske ke Ye Ashya Thodi Miqdaar Me Nasha Karti Hai Ya Zyada,

Kyonke Jab Ye Saabit Hai Ke Un Ashya Ka Zyada Istemaal Nasha Paida Karta Hai Toh Unka Thoda Istemaal Bhi Haram Hai, Kyonke Farmaan E Nabawi Hai Ke

"Jis Cheez Ki Zyadah Miqdaar Nasha Kare Uski Thodi Miqdaar Bhi Haram Hai"

(Gaytul Maram 58, Nisaai 5607)

BA'TAUR E DAWA (MEDICINE) SHARAB KI KHAREED WA FAROKHT:

Sharab Ka Ba'taur Dawa Istemaal Ya Ba'taur E Dawa Uski Khareed Wa Farokht Bhi Jayez Nahin Kyonke Ek Riwayat Me Hai Ke

Nabi E Akram Sallalahi Alaihi Wasallam Se Sharab Ko Ba'taur E Dawa Istemaal Karne Ke Mutaallik Daryaaft Kiya Gaya Toh Aapne Farmaaya

"Ye Dawa Nahin Balke Bimaari Hai"

(Sahih Tirmizi 2046, Ibn Majah 3500)

Aur Ek Dusri Riwayat Me Aap (Sws) Se Ye Alfaaz Manqool Hain

"Nahin Use Ba'taur E Dawa Bhi Istemaal Nahin Kiya Ja Sakta Balke Ye Toh Khud Bimaari Hai"

(Sahih Abu Dawood 3873)

Tuesday 23 September 2014

JIN CHEEZON KI TIJAARAT HARAM HAI: (PART-2)










Bismillahirrahmanirraheem

JIN CHEEZON KI TIJAARAT HARAM HAI: (PART-2)


MURDAAR:

Murdaar Ki Khareed Farokht Ko Allah Tala Ne Haram Qarar Diya Hai, Lekin 2 Murdaar Aise Hain Jinki Khareed Wa Farokht Jayez Hai Aur Wah Hain Macchli Aur Tiddi,

Kyonki Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne In Dono Ke Murdaar Hone Ke Ba'wajood Khud Halal Qarar Diya Hai

(Ibn Majah 3314, Ahmad 2/97, Baiheqi 1/354)

"Murdaar Ki Kisi Cheez Se Nafa Haasil Karna Jayez Nahin Elawa Ke Jaise Koi Daleel Khaas Kar De Maslan Ranga Hua Chamda Wagerah (Kyonke Daleel Ke Zariye Sabit Hai Ke Murdaar Ka Chamda Rang Diya Jaaye Toh Pak Ho Jaata Hai)"

(Qaul Imam Shauqani Wa Muslim 366, Ibn Majah 3609, Darimi 198h Dare Qutni 1/46)

Lihaaza Isse Faayeda Uthana Jayez Hai Aur Jab Usse Faayeda Uthana Jayez Hai Toh Uski Khareed Wa Farokht Bhi Jayez Hai)

(Neel Ul Awtar 3/58)

Yahan Ye Yaad Rahe Ke Jin Riwaayaat Se Istadlal Karte Hue Murdaar Aur Tamam Halal Wa Haram Janwaron Ki Haddi Ki Khareed Wa Farokht Ko Jayez Kiya Jaata Hai Wah Zaeeff Hai,

Is Liye Haddi Ki Khareed Wa Farokht Ka Jawaaz Saabit Nahin Hota,

Kuch Ahle Ilm Ka Kahna Hai Ke Ye Zaroori Nahin Ke Jis Cheez Ki Khareed Farokht Haram Hai Usse Fayeda Uthaana Bhi Haram Hai, Maslan Agar Murdaar Ki Khareed Wa Farokht Haram Hai Toh Isse Ye Laazim Nahin Aata Ke Use Kisi Aur Jaanwar Ko Khilaane Ya Uski Charbi Ko Aag Jalaane Ke Liye Bhi Istemal Nahin Kiya Ja Sakta Balke Murdaar Se Is Qism Ka Nafa Uthaana Jayez Hai,

Imam Khattabi Aur Imam Ibn Qayyim (Rh) Ne Ye Mauqaf Apnaaya Hai

(Zaad Ul Maad 4/242)

KHINZEER (SUWAR)

Khinjeer Zindah Ho Ya Murda Uski Tijaarat Har Soorat Me Haram Hai Kyonki Wah Ba'zaat E Khud Haram Bhi Hai Aur Najs (Dirty) Bhi

Imam Ibn Hajar (Rh) Ke Nazdeek Uske Aza Ki Tijaarat Bala Ijma Haram Hai

(Fath Ul Bari 5/178)

BUT (IDOL, MOORTI):

Buton Ki Khareed Wa Farokht Ki Hurmat Ka Sabab Ye Hai Ki Ye Shirk Ke Aalaat Wa Zaraaye Hain, Jabke Ye Jis Cheez Ye Banaaye Jaate Hai (Maslan Patthar Ya Lakdi Etc) Wah Halal Hai,

Lihaaza Buton Ki Khareed Wa Farokht Ki Hurmat Me Har Us Cheez Ki Tijaarat Hogi Jo Kisi Bhi Tarah Ka Shirk Ka Zariya Ho Jaise Buzurgaan E Deen Aur Awliya E Kiram (Rh) ki Tasweer Ki Khareed Wa Farokht, Shirkiya Naaton Aur Shirkiya Qawwalion Ki Audio, Video Cassetton Aur CDs Ki Khareed Farokht Wagerah..

KUTTA:

Hz Abu Masood Ansari (Ra) Se Marwi Hai Ke

"Rasoollullah (Sws) Ne Kutte Ki Qeemat Se Mana Farmaya Hai"

(Bukhari 2237 Kitab Ul Buyu, Muslim 1567, Abu Dawood 3481, Tirmizi 1276)

Is Riwayat Ko Pesh E Nazar Rakhte Hue Jamhoor Ulema Ahle Ilm Aur Imam Shafai (Rh) Ne Ye Raaye Akhtiyaar Ki Hai Ke Mutlaqan Har Kutte Ki Khareed Wa Farokht Haram Hai, Aur Agar Koi Kutte Ko Maar De Toh Uske Zimme Koi Taawaan Nahin Kyonki Uski Koi Qeemat Hai Hi Nahin,

Jabke Imam Malik (Ra) Ke Nazdeek Kutte Ki Khareed Wa Farokht Jayez Nahin Albatta Use Maarne Waale Ko Tawaan Dena Padega,

Imam Abu Hanifa (Rh) Ka Kahna Hai Ke Shikaari Aur Faayede'mand Kutte Ki Khareed Wa Farokht Durust Hai

(Fath Ul Bari 5/179, Neelul Awtar 3/51t Rozaul Nadiya 2/194)

Hamare Ilm Ke Mutaabik Kisi Bhi Kutte Ki Tijaarat Jayez Nahin Siwaaye Shikaari Kutte Ke Uski Daleel Hz Jabir (Ra) Se Marwi Ye Riwayat Hai Ke

"Rasoollullah (Sws) Ne Shikari Kutte Ke Elaawa Kisi Bhi Kutte Ki Qeemat Se Mana Farmaya Hai"

(Sahih Nisai 4353, Ibn Majah 2161, Sahih Jame 6946,)

Ye Riwaayat Kutte Ki Tijaarat Se Mutlaqan Muma'niyat Wali Riwaayat Ko Muqeed Kar Deti Hai Lihaza Shikaari Kutte Ke Elaawa Wah Baaqi Tamam Kutton Ki Tijaarat Haram Hogi,

Imam Ata Bin Rabah, Imam Nakhi, Imam Shaukani Aur Imam San'ani (Rh) Isi Ke Qayel Hain

(Neelul Awtaar 3/512, Sabeelul Islam 3/1046)

Aur Yahan Ye Bhi Yaad Rahe Ke Agar Koi Aise Kutte Ko Maar Daale Jiski Khareed Wa Farokht Jayez Hai Jaise Shikari Kutta Toh Uska Taawaan Ada Kiya Jaayega Jabke Uske Elaawa Dusre Kutton Ka Tawaan Ada Karna Zaroori Nahin....

To Be Continued...

Sunday 21 September 2014

JIN CHEEZON KI TIJAARAT HARAM HAI: (PART-3)





Bismillahirrahmanirraheem

JIN CHEEZON KI TIJAARAT HARAM HAI: (PART-3)


BILLI (CATS):

Hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke

"Nabi E Akram Sallaho Alaihi Wasallam Ne Billi Ki Qeemat Se Mana Farmaya Hai"

(Muslim 1569 Kitab Ul Masaqah, Abu Dawood 3479)

Billi Ki Tijaarat Me Ikhtelaaf Toh Hai Lekin Qaabil Tarjee Raaye Ye Hai Ke Billi Ki Tijaarat Haram Hai Jaisa Ka Uper Hadith Me Usse Mana Kiya Gaya Hai

(Imam Shaukani Neelul Awtaar 3/513)

KHOON (BLOOD):

1- allah Tala Ka Irshad Hai Ke

"Murdaar Aur Khoon Tum Par Haram Kar Diya Gaya Hai"

(Surah Maida 3)

In Ashya Ko Khana Haram Hai Lihaaza Uski Tijarat Bhi Haram Hai,

2- Hz Huzaifa (Ra) Se Marwi Hai Ke

"Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Khoon Ki Qeemat Haram Qarar Di Hai"

(Bukhari 2086 Kitab Ul Buyu, Ahmad 4/308, Abu Dawood 3483)

Imam Shaukani (Rh) Farmate Hain Ke

" Is Riwayat Se Saabit Hota Hai Ke Khoon Ki Khareed Wa Farokht Haram Hai"

(Neelul Awtar 5/238)

Lekin Ye Yaad Rahe Ke Shakht Zaroorat Ke Waqt Khoon Ki Khareed Farokht Durust Hai Aur Bil'umoom Majboori Aur Tangi Me Hi Khoon Ki Khareed Farokht Hoti Hai , Khushi Wa Aasaani Me Nahin,

Isi Tarah Ye Bhi Waazeh Rahe Ke 2 Khoon Aise Hain Jinki Khareed Farokht Durust Hai Kyonki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Unhe Halal Qarar Diya Hai Aur Wah Hain "Jigar Aur Tilli"

(Mishkaar 4232, Ibn Majah 3314, Ahmad 2/98)

NAR JANWAR (MALE ANIMALS) KE MANI KE KATRAAT (SPERM DROPS) AUR MADA (FEMALE) KE PET KE BACHHE:

Hz Abu Hurairah (Ra) Se Marwi Hai Ke

"Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Malaqeeh Aur Maza'meen Ki Khareed Farokht Se Mana Farmaya Hai"

(Sahih Jame Sagheer 6937, Kashful Astar Lil Bazzaar 1267, Nasburraya 4/10)

MAZAMEEN: Lafz E Mazmoonah Ki Jama Hai Iska Matlab Hai "Nar Oont Wagerah Ki Pusht Me Mani Ke Qatraat (Jinse Bachhe Bante Hain)"

MALAQEEN : Lafz Malqooha Ki Jama Hai Isse Muraad Wah Bacche Hain Jo Mada Jaanwaron Ke Peton Me Hain

(Sabeelul Islam 3/1105)

In Dono Ashya Ki Tijarat Isliye Mamnu Hai Kyonke Inke Majhool Hone Ki Wajah Dhoke Par Mushtamal Hai,

HAR HARAM CHEEZ:

1- Hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Se Daryaaft Kiya Gaya Ke Murdaar Ki Charbi Ke Mutaalliq Kya Huqm Hai ??

Kyonke Usse Khashtiyon Ko Polish Kiya Jata Hai, Chamde Ko Chikna Kiya Jaata Hai, Aur Log Use Jalaakar Roshni Haasil Karte Hain,

Aapne Farmaya

"Nahin ! Wah (Yani Uski Khareed Farokht) Bhi Haram Hai"

Fir Uske Saath Hi Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Allah Tala Yahood Ko Gharat Kare Ke Jab Allah Tala Ne Charbion Ko Unke Liye Haram Kar Diya Toh Unhone Use Pighla Kar Farokht Kar Diya Aur Uski Qeemat Kha Gaye"

(Bukhari 2236 Kitab Ul Buyu, Muslim 1581, Abu Dawood 3486)

2- Hz Ibn Abbas (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Allah Tala Yahood Par Lanat Kare Jab Un Par Charbion Ko Haram Kiya Gaya Toh Wah Unhe Bech Kar Unki Qeemat Kha Gaye,"

"Aur Jab Allah Tala Kisi Qaum Par Koi Cheez Khana Haram Kar Dete Hain Toh Uski Qeemat Bhi Haram Kar Dete Hain"

(Sahih Abu Dawood 2978 Kitab Ul Buyu, Abu Dawood 3488)....

Tuesday 16 September 2014

ZAKHEERA'ANDOZI (ISLAMIC RULING FOR STOCK OF PRODUCT):





.Bismillahirrahmanirraheem

ZAKHEERA'ANDOZI (ISLAMIC RULING FOR STOCK OF PRODUCT):


ZAKHEERA ANDOZI KI HURMAT:

1- Hz Ma'mar Bin Abdullah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

" Zakheera'andozi (Stock) Sirf Gunah'gaar Hi Karta Hai"

(Muslim 1605 Kitab Ul Masaqah, Abu Dawood 3447)

"Zakheera'andozi (Jisse Shar'an Mana Kiya Gaya Hai) Ye Hai Ke Ghalle Ko Rok Lena, Farokht Na Karna, Us Intezaar Me Ke Rate Chadhen Aur Awaam Ko Uski Shadeed Zaroorat Ho Jabke Zakheera Karne Waala Usse Mustaghni Ho"

(Hafiz Ibn Hajar, Fath Ul Bari 5/81)

Malum Hua Ke Shar'an Zakheera'andozi (Maal Stock Karna) Haram Hai,

Zakheera'andozi Ko IsLiye Haram Kiya Gaya Hai Kyonke Isse Awaam Ko Bahut Nuksaan Uthaana Padhta Hai,

Taajir Hazraat Bazaar Ki Jins E Zaroorat Ko Rok Lete Hain, Nateejatan Rate Badhne Lagte Hain,

Ghareeb Awaam Mahengayi Ki Chakki Me Pisna Shuru Ho Jaati Hai, Aur Taajir Aur Sarmaya'dar Hazraat Bahut Zyada Faayeda Uthaate Hain

KYA SIRF ASHYA E KHUD'NOSH (ROZ'MARRA KI CHEEZ YA FMCG PRODUCT) KI ZAKHEERA'ANDOZI HARAM HAI ??

Ahle Ilm Ke Darmiyaan Is Masle Me Ikhtelaaf Hai Ke Kya Sirf Ashya E Khud'nosh (Khane Peene Ki Cheez) Ki Zakheera'andozi Haram Hai Ya Har Cheez Ki,

Jamhoor Ki Raaye Ye Hai Ke Sirf Ashya E Khud'nosh Ki Hi Zakheera'andozi Haram Hai,

Lihaaza Agar Koi Baqi Ashya Ki Zakheera'andozi Karta Hai Toh Ye Shar'an Mana Nahin,

Jabke Imam Malik Aur Qazi Abu Yousuf (Rh) Ka Kahna Hai Ke Har Us Cheez Ki Zakheera'andozi Haram Hai Jiska Rok Rakhna Logon Ke Liye Taqleef Aur Nuksaan Ka Ba'as Ho Chaahe Wah Sona (Gold) Ho Ya Kapde, Ya Kuch Bhi,

Jamhoor Ulema Apne Mauqaf Ki Taeed Me Wah Riwaayaat Pesh Karte Hain Jinme Zakheera Andozi Ke Saaath Lafz E Ta'aam Ki Qaid Maujood Hai

(Tafseel Ke Liye Dekhiye Sharah Muslim Al Nawawi 11/43, Sabeelul Islam 3/1090, Tohfatul Ahwazi 4/549, Mirqaat 6/110)

Lekin Shaikh Albani Ki Tahqeeq Ke Mutabik Wah Riwaayat Dhaeef Hain,

Unmese Ek Riwayat Ye Hai

"Jisne Logon par Unka Ghalla Zakheera Kar Liya Allah Tala Use Kodh Ayr Aflaas Me Mubtela Kar Denge"

(Zaeff Ibn Majah 476 Kitab Ut Tijarat)

Chunke Sahih Hadith Me Mutaqan Zakheera'andozi Ki Muzammat Ki Gayi Hai,

Lihaaza Hamare Ilm Ke Mutaabik Is Masle Me Qabil Tarjeeh Ye Raaye Hai Ke Kisi Bhi Cheez Ki Zakheera'andozi, JaBke Log Us Cheez Ke Muhtaaj Hon Aur Wah Shakhs Use Musalmano Ke Liye Mahenga Karna Jaanta Ho, Khuraak Ki Ho Ya Uske Elawa Kisi Aur Cheez Ki, Haram Hai,

Imam Shaukani Ne Bhi Isi Raaye Ko Tarjeeh Di Hai

(Neelul Awtar 3/604)

ZAKHEERA'ANDOZI KI CHAND NA'JAYEZ SOORATEIN:

1- Jab Ghalla Ghalla Wagerah Ka Rate Badh Raha Hota Hai Toh Taajir Ya Zameendar Is Niyyat Se Ashya Stock Kar Lete Hain Ke Jabtak Rate Falan Hadh Tak Nahin Pahunchega Ham Apni Ashya Market Tak Nahin Laayenge, Halaanke Un Ashya Ki Market Me Usi Waqt Zaroorat Bhi Hoti Hai,

2- Hukumat Koi Cheez Zyada Samjh Kar Export Kar DetI Hai, Lekin Baad Me Us Cheez Ki Qillat Paida Ho JaatI Hai,

Fir Hukumat Wahi Cheez Dusre Mulk Se Import Karti Hai, Is Waqfa Me Taajir Log Zakheera'andozi Ke Zariye Ashya Ki Qeematein Aasmaan Tak Pahuncha Dete Hain Aur Khoob Munaafa Kamaate Hain, Jabke Ghareeb Awaam Mehenge Daamon Me Hi Ashya Khareedne Par Majboor Hoti Hai,

3- Kuch Hoshiyaar Taajir Khufiya Zaraaye Se Ye Pata Chala Lete Hain Ke Aainda Saal Sarkaari Budget Me Kin Ashya Ki Qeematein Badh Rahin Hai, Aur Fir Un Ashya Ki Zakheera'andozi Karke Unki Farokht Rok Lete Hain,

Baad Me Jab Wah Ashya Mahengi Ho Jaati Hai Toh Fir Unhe Farokht Karke Khoob Kamaayi Karte Hain..

ZAKHEERA'ANDOZI KI CHAND JAYEZ SOORATEIN:

1- Jab Koi Cheez Wafar Aur Sasti Qeemat Me Dast'yaab Ho, Aise Halaat Me Agar Koi Taajir Wah Cheez Zakheera Kare Aur Fir Jab Logon Ko Zaroorat Padhe Toh Unhe Us Waqt Ki Qeemat Ke Mutaabil Farokht Bhi Kar De Toh Ye Zakheera'andozi Haram Nahin,

Kyonki Usme Zaroorat Ke Waqt Cheez Roki Nahin Gayi Balke Unhe Muhayya Ki Gayi Hai

2- Agar Koi Shakhs Zaati Zaroorat Ke Liye Ghar Me Ghalla (Ya Koi Aur Cheez) Zakheera Kar Leta Hau Taake Aainda Mehengayi Ke Ayyam Me Use Sahuliyat Rahe Aur Us Waqt Wah Cheez Aasaani Se Market Me Bhi Dast'yab Ho Toh Aisi Zakheera'andozi Me Koi Qabahat Nahin,

Imam Nawawi Bhi Iske Qayel Hain

(Sharah Muslim 11/43)

MASNUI QILLAT (FAKE SHORTAGE) PAIDA KARNE KI EK JADEED (MODERN) SOORAT:

Is Soorat Ka Taalluq Bade Bade Maaldaar Aur Taajir Logon Se Hai Jo Ghar Baithe Telephone Par Hi Karobaar Chalaate Hai,

Ye Log Andaza Lagate Hain Ke Kaun Si Ashya Aane Waale Dino Me Mahengi Hone Waali Hai, Fir Un Ashya Ki Meel Ya Factory Me Raabta Karte Hain Aur Unhe Bahut Bada Order De Dete Hain, Jise 

Poora Karne Me Factory Ko 2-3 Maheene Dar'kaar Hon Aur Itne Bade Order Ki Soorat Me Jahan Kuch Qeemat Advance Me Ada Kar Dete Hain Wahan Aam Rate Se Kam Rate Par Hi Sauda Karte Hain, Jispar Factory Waale Bhi Khushi Se Razamandi Zaahir Kar Dete Hain,,

Is Dauraan Wah Cheez Market Me Aana Band Ho Jaati Hai, Nateejatan Ek Taraf Log Pareshaan Hote Hain Aur Dusri Taraf Uski Qeemat Badhna Shuru Ho Jaati Hai,

Kyonki Fir Wah Cheez Jis Ke Paas Bhi Hoti Hai Wah Use Apni Marzi Ki Qeemat Par Bechta Hai,

Factory Waale Jab Rate Badhta Hua Dekhte Hain Toh Us Taajir Ko Kuch De Dila Kar Jaan Chhudaane Ki Koshish Karte Hain Lekin Wah Taajir Bahut Zyada Munaafa Kamaane Ka Khwaahish'mand Hota Hai,

Is Tarah Us Cheez Ki Qeemat Mazeed Badh Jaati Hai, Aur Yun Baaz Auqaat Factory Waale Taajir Ko Uska Advance Aur Saath Me Kuch Munaafa Dekar Raazi Kar Lete Hain Aur Baaz Auqaat Taajir Apna Order Poora Karaane Par Hi Musr Ho Hota Hai, Aur Wah Cheez Haasil Karke Market Me Mehenge Daamon Me Farokt Karta Hai,

Yun Ek Cheez Ki Maujoodagi Ke Ba'wajood Market Me Uski Masnui Qillat Paida Kar Di Jaati Hai, Jiske Nateeje Me Bila'wajah Ek Cheez Ka Rate Badha Diya Jaata Hai Aur Logon Ki Zarooraton Aur Majboorion Ka Bahut Zyada Faayeda Uthaaya Jaata Hai,

Karobaar Ki Ye Soorat Bhi Haram Hai Kyonki Ek Toh Ye Zakheera'andozi Ki Hi Ek Soorat Hai, Aur Zakheera'andozi Haram Hai Jaisa Ke Peeche Iske Dalail Zikr Kiye Ja Chuke Hain,

Dusre Shariat Me Aise Cheez Ke Saude Se Mana Kiya Gaya Hai Jo Paas Maujood Na Ho Aur Us Soorat Me Yaqeenan Factory Waale Ne Jis Cheez Ka Sauda Kiya Hai Wah Cheez Uske Paas Maujood Nahin,

3- Shariat Me Aisi Cheez Ka Bhi Sauda Mamnu Hai Jise Qabza Me Na Liya Gaya Ho Aur Khareedi Hui Jagah Se Uthaakar Apne Paas Na Rakha Gaya Ho,

4- Aisa Sauda Bhi Na'jayez Hai Jise Maap Tol Kar Farokht Na Kiya Jaaye Aur Yahan Maapne Tolne Ka Sawaal Hi Paida Nahin Hota Kyonki Waah Cheez Abhi Maujood Hi Nahin,

Lihaza Ye Soorat Haram Aur Na'jayez Hai....