Bismillahirrahmanirraheem
SAUDE'BAZI (TRADING) KE KUCH MASAIL:
1- Saude Ki Qeemat (Price Of Product) Cheez Ka Malik Bataayega
Imam Bukhari (Rh) Ne Ye Unwan Qayem Kiya Hai
"Bab Us Bayan Me Ke Samaan Ke Malik Ko Qeemat Kahne Ka Zyada Haq Hai"
Fir Ye Hadith Naqal Farmaayi Hai Ke Hz Anas (Ra) Ne Zikr Kiya Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya
"Aiy Banu Najjaar ! Apne Baaagh Ki Qeemat Muqarrar Karke Mujhe Batao"
(Bukhari 2106 Kitab Ul Buyu)
Isse Malum Hua Ke Saude Ki Qeemat Pahle Wahi Bataayega Jiska Sauda Hai, Fir Kharee'daar (Buyer) Jo Chaahe Kahe
2- Farokht Ke Liye Jhoot Bolna Ya Jhooti Qasmein Khana Haram (Prohibited) Hai :
1- Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"(Jhooti) Qasam Ke Zariyr Sauda Toh Bik Jaata Hai Lekin Barkat Khatam Ho Jaati Hai"
(Bukhari 2087 Kitab Ul Buyu)
2- Farman E Nabawi Hai Ke
"3 Aadmi Aise Hain Roz E Qayamat Na Toh Allah Tala Unse Kalam Karenge, Na Unki Taraf Nazar E Rahmat Farmaayenge Aur Na Hi Unka Tazkiyah Karenge Balke Unke Liye Dard'naak Azaab Hoga Jo Jhooti Qasam Ke Zariye Sauda Farokht Karta Hai"
(Muslim 154 Kitab Ul Imaan)
3- Hz Abdurrahman Sabal (Ra) Bayan Karte Hain Ke Maine Rasoollullah (Sws) Ko Farmate Hue Suna Ke
"Beshaq Taajir Gunah'gaar Log Hain"
Logon Ne Kaha- "Aiy Allah Ke Rasool (Sws) ! Kya Allah Tala Ne Tijaarat Ko Halal Nahin Kiya ??"
Aap (Sws) Ne Farmaya:-"Kyun Nahin ! Lekin Ye Log Qasmein Khaate Hain Aur Gunah'gaar Hote Hain Aur Baat Karte Hain Toh Jhoot Bolte Hain"
(Sahih Targheeb 1786 Kitab Ul Buyu, Ahmad 4/444-428)
4- Hz Abdullah Bin AbI Auff (Ra) Se Riwayat Hai Ke Bazaar Me Ek Shakhs Ne Ek Saamaan Dekh Kar Qasam Khaayi Ke Iski Itni Qeemat Lag Chuki Hai, Halaanke Uski Utni Qeemat Nahin Lagi Thi,Us Qasam Se Uska Maqsad Ek Musalman Ko Dhoka Dena Tha,
Us Par Ye Aayat Utri
"Jo Log Allah Ke Ahad Aur Apne Qasmon Ko Thodi Qeemat Ke Badle Me BechTe Hain Unke Liye Aakhirat Me Koi Hissa Nahin"
(Bukhari 2088 Kitab Ul Buyu)
3- FARIQAIN (BUYER OR SELLER) KO SAAF'GOYI SE KAAM LENA CHAHIYE:
Farmaan e Nabawi Hai
"Farokht Karne Wala Aur Kharee'daar Dono Ko Juda Hone Tak Sauda Fasakh (Cancel) Karne Ka Akhtiyaar Hai, Agar Dono Saaf'goyi Se Kaam Len Aur Maal Ka Aib Waazeh Kar Den Toh Unke Saude Me Barkat Di Jaati Hai, Aur Gar jhoot Bolen Ya Aib Chhupaayen Toh Unke Saude Ki Barkat Mita Di Jaati Hai"
(Bukhari 2110 Kitab Ul Buyu)
Is Huqm Ke Khilaaf Aaj Kal Saaf'goyi Wala Maamla Bahut Kam Hi Dikhaayi Deta Hai Aur Jhooti Aur Banawati Baaton Ka Hi Aam Riwaaj Hai,
Buyer Aur Seller Ke Elawah Aisa Kaam Sar'anjaam Dene Ke Liye Dalaal Ya Commission Agent Bhi Aham Kirdaar Ada Karta Hai Jo Ba'zahir Kuch Kah Raha Hota Hai Magar Wah Dar'parda Kabhi Farokht Karne Wale Se Aur Kabhi Khareedaar Se Kuch Aur Tayy Kar Chuka Hota Hai,
Yahan Ye Waazeh Rahe Ke Khufiya (Secret) Taur Par Jhoot Bolkar Jo Bhi Zyada Raqam Wasool Ki Jaati Hai Wah Haram Hai
4- KHAREED FAROKHT KE WAQT MAAP-TOL ZAROOR KARNA CHAHIYE:
1- hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Ghalle Ke Bayy Se Mana Farmaya Hai Hatta Ke Usme 2 Sa'aa Jaari Ho Jaaye (Ek) Bechne Wale Ka Sa'aa (Aur Dusra) Khareedne Wale Ka Sa'aa
(Sahih Ibn Majah 1812 Kitab Ut Tijarat, Dare Kutni 8/3)
2- Hz Usman (Ra) Se Marwi Hadith Me Ye Lafz Hain
"Khareedo Toh Maap Karo Aur Jab Becho Toh Maap Karo"
(Arwa Ul Ghaleel 5/179, Ahmad 1/62, Fath Ul Bari 5/76, Neelul Awtaar 3/533)
5- MAAP TOL KI MAZDOORI BECHNE WALE PAR HAI:
Uper Wali Hadith Ke Alfaaz
"Aur Jab Tum Becho Toh MaAp Karo "
Se Malum Hota Hai Ke Maap Tol Ki Zimmedari Bechne Wale Par Hai, Khareedaar Par Nahin,
Lihaza Maap Tol Ki Mazdoori Khareedaar Par Daalna Jayez Nahin Hai
To Be Continued...
No comments:
Post a Comment